Khusravi achi lagee na, sarwari achee lagee,
Ham faqiroon ko Madine ki galli achi lagi.
Door they to zindagee bay rang thee be-kaif thee,
Unkay kuchey main ga'ey to, zindagi achee lagee.
Hum faqeeron ko madine kee galee achee lagee....
Main na jaun ga kahin bhi, dar Nabi ka chaur kar
Mujh ko ku'ey Mustafa ki chakari achi lagi.
Naaz kar tu aey Halima Sarwar-e-Kownain par,
Gar lagi achi to teri jhownparhi achi lagi.
Rakh diya Sarkaar kay qadmoon pay sultanoon nay sar,
Sarwarey kown-o-makaan ki saadgi ach-chii lagi.
Mahr-o-mah ki roshani mana kay achi hai magar,
Sabz gunbad ki mujhey to, roshani achi lagi.
Door rah kar astaan-e-sarwar-e-kownain se
Zindagi achii lagiina bandagi achii lagii
Aaj mahfil mein Niyaazi, naat jo maine parhi,
Ashaqan-e-Mustafa ko woh barhi achii lagi
Hum faqiron ko madine ki gali achi lagi....
Hum faqiroon ko madinay ki gali achi lagi...
Khusravi achi lagi na, sarwari achi lagi,
Ham faqiroon ko Madine ki galli achi lagi.